Jab tak tu ....

Jab tak tu beneshan raha, dastras mai tha,
Khush naam ho gaya to hamara nahi raha.

Tu mera hota, mai teri hoti, bas yehi aik sahara tha hamey,
Par ab to duniya ka bhi hum ko aasra nahi raha.


Hum ney to kiya pyaar tujhey, dilon jaan sey magar,
Shayad tujhey ab pyaar par merey aietabar nahi raha.


Tujhey aankhon mai basaya tha, dil mai rehney ki dhi thi ijazat,
Tujh ko nikala to merey paas bhi aashiyana nahi raha.


Teer hum ney bhi pheka tha kisi ki taraf laykin,
Merey samney ab woh meray neshana nahi raha.

Milney ko tarasta hai dil, shayad tera bhi meri hi tarah,
Par laghta hai terey paas bhi koi bahana nahi raha.


Suna tha hum ney logh deytey hai pyaar mai jaaney,
Par pyaar ka shayad woh zamana nahi raha.


Miley tujhe jab naye raahein to manzilein bhi naye hain,
Samandar to ab bhi hai par woh kinara nahi raha,



Tu chahey na chahey hamey parwa nahi,
Jab dey diya dil tujh ko, to ab woh hamara nahi raha,


Tu ney palat kar na dekha hamey kinarey sey,
Jalney ko hamarey paas ab anghara nahi raha,


Jab tak tu beneshan raha dastras mai tha,
Khush naam ho gaya to hamara nahi raha.
 

Written By: AMBREEN ASHIQ!
 

Main Menu                         Contributions                                Home